dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka sat samundar bhi to na paen raaz meri gahrai ka chashma-e-khun mein dub gai baraat suhane taron ki bojhal palkon par gahna ya chand meri tanhai ka jhum rahe hain kale baadal daras ki pyasi aankhon mein kajal ban kar phail gaya hai dagh meri ruswai ka kitna hai aanand tere is dhime dhime lahje mein tere dhiraj se nikhra hai rang meri ranai ka mere dil se puchhe koi qadr ubharte suraj ki meri aankh se dekhe koi rup mere saudai ka sandal jaisi rangat par qurban sunahri dhup karun raushan mathe par main warun sara husn khudai ka mera bikhra bikhra tan-man simat gaya kisi chahat se jaan gai hun bhed main teri bahon ki girai ka