tutte khwab ki tabir se andaza hua mujh ko shayad zara takhir se andaza hua donon-jaanib se musalman the marne wale aap ko nara-e-takbir se andaza hua mere purkhon ka makan mail-e-mismari hai habs mein tutte shahtir se andaza hua jhut ke panw bhi hote hain agar tu bole aaj mujh ko teri taqrir se andaza hua aap jadu se bana lete hain mitti sona aap ki phailti jagir se andaza hua mere kamre mein koi aaya nahin baad mere gard-alud si taswir se andaza hua aap to apni khushi se hain ghulam ibn-e-ghulam aap ki qimti zanjir se andaza hua