diwaren chhoti hoti thin lekin parda hota tha tale ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha kabhi kabhi aati thi pahle wasl ki lazzat andar tak barish tirchhi padti thi to kamra gila hota tha shukr karo tum is basti mein bhi school khula warna mar jaane ke baad kisi ka sapna pura hota tha jab tak matha chum ke rukhsat karne wali zinda thi darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha bhale zamane the jab sher suhulat se ho jate the nae sukhan ke nam pe 'azhar' 'mir' ka charba hota tha