dil par jo teri yaad ka pahra nahin hota sagar ki tarah zakhm bhi gahra nahin hota khwabon ka bahut dekhna achchha nahin hota har khwab yaqinan kabhi sachcha nahin hota marzi hai meri jis ko bhi chahun use dekhun aankhon pe kisi zat ka pahra nahin hota lillah tabibon ko dikhate ho mujhe kyon is tute hue dil ka mudawa nahin hota nikla hai kahan ret mein tu pyas bujhane sahra mein jo dikhta hai wo dariya nahin hota honton ko nujumi ke jo sina hai to si do taqdir ka likkha kabhi jhuta nahin hota koi na agar chhinta bachche ka niwala wo pet pakad kar kabhi soya nahin hota 'swami' zara suraj ko samundar se nikalo thak-haar ke yun dubna achchha nahin hota