gham zamane se chhupana hi pada rote rote muskurana hi pada dil ko dil se bhi bachana hi pada ye bhi gham mujh ko uthana hi pada sazishi tirchhi nazar thi kya kahen chot kha kar muskurana hi pada pi sabhi ne main hi tishna tha magar sath un ke ladkhadana hi pada un ki ruswai ne jab ghera mujhe mujh ko un se dur jaana hi pada zindagi ko aur kab tak jhelta maut se panja ladana hi pada aansuon ne is tarah tartib di gham ka har qissa sunana hi pada intiha-e-ishq mein khae fareb chah kar bhi bhul jaana hi pada tirgi thi aur un ki yaad thi dil ko aise mein jalana hi pada haal-e-dil un se chhupate kab talak raaz ulfat ka batana hi pada 'swami' un ki zid ke aage jhuk gae bijliyon par ghar banana hi pada