dil pareshan hai kya kiya jae aql hairan hai kya kiya jae shauq-e-mushkil-pasand un ka husul sakht aasan hai kya kiya jae ishq-e-khuban ke sath hi hum mein naz-e-khuban hai kya kiya jae be-sabab hi meri tabiat-e-gham sab se nalan hai kya kiya jae bawajud un ki dil-nawazi ke dil gurezan hai kya kiya jae main to naqd-e-hayat laya tha jins-e-arzan hai kya kiya jae hum samajhte the ishq ko dushwar ye bhi aasan hai kya kiya jae wo bahaaron ki naz-parwarda hum pe nazan hai kya kiya jae misr-e-lutf-o-karam mein bhi ai 'jaun' yaad-e-kanan hai kya kiya jae