zulfen chhodin hain ki joda us ne chhoda sanp ka dekhiye kis kis ko dasta hai ye joda sanp ka gore galon par tere zulfen ye lahraati nahin yasmin-zar-e-sabahat mein hai joda sanp ka ishq un zulfon ka mujh se tark hone ka nahin hai mera ham-zad ai naseh ye joda sanp ka donon zulfen yar ki ulti hain baalon par mere wajd karta hai sada-e-nai ye joda sanp ka mund gain zulfen hain shaer kis se ab denge misal ho gaya tashbih ki khatir bhi toda sanp ka umr bhar dil ko khayal-e-gesu-e-pechan raha dhyan is nadan ne hargiz na chhoda sanp ka nuqrai mubaf choti mein raha un ki sada kenchuli ne umr bhar pichha na chhoda sanp ka pad gai iza-dahandi ki teri zulfon ko khu katta hai ud ke aashiq ko ye joda sanp ka kuchh samajh kar raha hun yar ki zulfon ki dasht palta hun apne katwane ko joda sanp ka sham se un gesuon ki yaad mein jo so raha khwab mein dekha kiya ta-subh joda sanp ka ishq mein gesu o abru ke agar deni hai jaan nish-e-aqrab kha ke pi le zahr thoda sanp ka waste muzi ke aakhir mein bhi muzi ban gaya sar kisi haalat mein be-kuchle na chhoda sanp ka ishq-e-gesu mein na qatra bhi talaf hone diya zahr sara halaq mein main ne nichoda sanp ka khat pe aate hain bahut lahra ke gesu yar ke sabza-e-nau-khez par ghash hai ye joda sanp ka halqa-e-gesu-e-shab ko zarra-e-afshan chuni raat ko chun chun ke ek ek dant toda sanp ka har qadam par mar kar sar kar raha hai nag-pech ab chalan sikha hai is muzi ne thoda sanp ka dushman-e-jaani ko apne di na iza 'rind' ne dant hi toda na chhaala us ne phoda sanp ka