teri talash teri tamanna to main bhi hun jaisa tera khayal hai waisa to main bhi hun tamir jaisi chahiye waisi na ho saki buniyaad apni roz uthata to main bhi hun bosida chhaal ped se lipti hai gar to kya achchhe dinon ki aas pe zinda to main bhi hun ai zindagi mujhe to khabar tak na ho saki har-chand apne gham ka mudawa to main bhi hun mahrumi-e-hayat ka mujh ko bhi gham to hai mahrumi-e-hayat pe rota to main bhi hun shayad nikal hi aae yahan koi rasta is shahr-e-be-lihaz mein thahra to main bhi hun ai zindagi to kis liye mayus mujh se hai teri tawaqquat pe pura to main bhi hun nok-e-qalam pe surat-e-izhaar ye bhi hai tujh ko ghazal ke rup mein likhta to main bhi hun ai zindagi tu thamti mere wajud ko tere liye jahan mein bhatka to main bhi hun ai kash jaan le tu mere dil ki dastan tum ho to zindagi ka taqaza to main bhi hun mujh mein jo iztirab hai mere sabab se hai mujh se na kuchh kaho ki samajhta to main bhi hun ye kya ki khwahishon ka safar khatm hi na ho ye kya ki ek mod pe thahra to main bhi hun ye kya ki ek taur se guzregi zindagi ye kya ki ek rah pe chalta to main bhi hun rakhta nahin hun dil mein hawaon ka kuchh bhi khauf rahon mein teri dip jalata to main bhi hun tum aae aur samet ke duniya nikal gae is umr ke sarab mein bhatka to main bhi hun main bhi dukhon se mawara kab hun jahan mein bar-e-gham-e-hayat uthata to main bhi hun main bhi bhatak raha hun zamane ke sath sath andha agar jahan hai andha to main bhi hun tere bayan mein hai na mere bayan mein is zindagi ko dekh dikhata to main bhi hun kuchh raushni ki aas hai mujh ko bhi ai 'nabil' aankhon ke dip roz jalata to main bhi hun hansti hai mujh pe duniya to hansti rahe 'nabil' is ke muamlat pe hansta to main bhi hun ruk se gae 'nabil' ye kis ke khayal mein tu dekh ghaur se mujhe rukta to main bhi hun