main teri nigah mein ek chaman tha ye husn-e-nazar tha husn-e-zan tha pakka tha jo man ka khasta-tan tha wo qais kahan tha kohkan tha makhmur si ho rahi thin aankhen rujhan-e-gunah zau-fagan tha duniya maqtal bani thi aur dil apne hi khayal mein magan tha gham-khana ho ke rah gaya hai wo lafz jo mabad-e-sukhan tha udta phirta ghubar har-su ye dasht-e-rawan kabhi chaman tha kahne ko to mar chuki thi khwahish baqi magar us ka bankpan tha fankar the hum na the kafan-kash zindon ke liye hamara fan tha kya ruh damak damak uthi thi kundan sa khayal ka badan tha go hont 'raza' ke sil gae the khame ki zaban se naghma-zan tha