ek haqiqat ki jhalak yun to har andaz mein hai

ek haqiqat ki jhalak yun to har andaz mein hai
phir haqiqat jise kahte hain abhi raaz mein hai

saz-baz ahl-e-nazar jalwa-gah-e-naz mein hai
ek ishaara hai jo chashm-e-ghalat-andaz mein hai

raazdari gham-e-ulfat ki musibat hai use
ek meri aag ka shoala dil-e-hamraaz mein hai

dur hai dur abhi hasil-e-duniya-e-hayat
fikr-e-anjam tujhe manzil-e-aghaz mein hai

chashm-e-pur-fan bhi dil-ara hai lab-e-nazuk bhi
sehr mein bhi hai wahi baat jo eajaz mein hai

jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekha ho
koi aisa bhi teri jalwa-gah-e-naz mein hai

daulat-e-sabr-o-tawakkul mein hai eazaz-e-bashar
kuchh na daulat hi mein rakkha hai na eazaz mein hai

dil hila dene ka andaz gaya ai 'khushtar'
dard pahla sa kahan ab teri aawaz mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close