dil raha hai kharab-haal bahut yun bhi guzre hain mah-o-sal bahut ai gham-e-ishq teri umr daraaz tu ne rakkha mera khayal bahut munh hum apna sa rah gae le kar dil mein tha shauq-e-arz-e-haal bahut un se tajdid-e-rasm-o-rah ki baat hai to mumkin magar muhaal bahut main ne aksar suni hain logon se dastanen bhi hasb-e-haal bahut han tumhaari magar misal nahin yun to be-shak hain be-misal bahut tum hi 'afsun' nahin karachi mein aur bhi hain kharab-haal bahut