zamane ki baaton se be-dil nahin hun jo maujon se tute wo sahil nahin hun tadapta hun apni haqiqat samajh kar qatil-e-mashiyyat hun bismil nahin hun hai khak-e-madina se bhi mujh ko nisbat jo mil jae pani mein wo gil nahin hun tujhe mangta hun tujhe dene wale bhikari nahin hun main sail nahin hun mere hath mein apna dast-e-sakha de ye kah de sakhawat ke qabil nahin hun main apni haqiqat samajhta hun ai dil main apni haqiqat se ghafil nahin hun ye kah kar nikal aaya zindan se bahar main paband-e-tauq-o-salasil nahin hun wo de azm-e-mohkam mujhe dene wale pukar utthe mushkil ki mushkil nahin hun 'girami' bhikari hun khwaja ke dar ka kisi ghair ke dar ka sail nahin hun