khizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai bahaar aane ki surat nikal bhi sakti hai jala ke shama ab uth uth ke dekhna chhodo wo zimmedari se az-khud pighal bhi sakti hai hai shart subh ke raste se ho ke sham aae to raat us ko sahar mein badal bhi sakti hai zara sambhal ke jalana aqidaton ke charagh bhadak na jaen ki masnad ye jal bhi sakti hai abhi to chaak pe jari hai raqs mitti ka abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai ye aaftab se kah do ki fasla rakkhe tapish se barf ki diwar gal bhi sakti hai tere na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai koi zaruri nahin wo hi dil ko shad kare 'alina' aap tabiat bahal bhi sakti hai