mera afsana juda teri kahani aur hai

mera afsana juda teri kahani aur hai
gham ka raja aur hai khushiyon ki rani aur hai

farq lahjon ka hua karta hai lafzon ka nahin
hai alag shoala-fishani khush-bayani aur hai

main to us ke bas mein hun muddat se hun us ka asir
jit hai taza koi ye kaamrani aur hai

nam le kar jis tarah us ne pukara hai mujhe
us ke is lahje se mujh ko khush-gumani aur hai

ab ke shayad us pe bhi mushkil raha hijr-o-firaq
ab ke mehmanon se tarz-e-mezbani aur hai

jaane kis ke lams ki ab ke tamanna hai unhen
in bahaaron mein gulabon par jawani aur hai

muskurana to hai us ki aam si aadat 'naim'
us ke izhaar-e-mohabbat ki nishani aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close