dil se ikhlas ghata lutf ghata pyar ghata par na wo naz tera ai but-e-ayyar ghata bewafai se teri apni wafadari se dil kai bar badha aur kai bar ghata khud-faroshi ko jo nikla wo aziz-e-alam narkh-e-husn-e-mah-e-kanan sar-e-bazar ghata gain bhi aain bhi barsin bhi ghataen barson barish-e-dida-e-tar ka na kabhi tar ghata 'mushtari' hijr ki shab umda hai tufan-e-alam tar bijli nazar aate hain shab-e-tar ghata