wo sar nahin jis mein tera sauda nahin hota aankhen nahin jin mein tera jalwa nahin hota kyon mujh pe karam aap ka maula nahin hota kyon nazr ke qabil dil-e-shaida nahin hota kab tak dil-e-bimar tadapta rahe aaqa kyon lutf-o-karam us pe masiha nahin hota tir-e-nigah-e-yar ka kushta hai mera dil juz marham-e-didar wo achchha nahin hota kya khak mile us ko maza ishq ka tere duniya mein jo tere liye ruswa nahin hota kyon chhup ke chale jate ho hum ghair nahin hain apnon se jahan mein kahin parda nahin hota kushta teri duzdida-nigahon ka 'qamar' hai rota hai tadapta hai wo achchha nahin hota