nabz thandi ho gai bimar ki dil mein hasrat rah gai didar ki misl-e-musa ho gae behosh hum barq jab chamki jamal-e-yar ki qabr mein bhi dosto tanha na hun sath hai hasrat visal-e-yar ki zakhmi-e-tir-e-nigah-e-naz ko chahiye patti visal-e-yar ki jhuk gai gardan hamari khud-bakhud ta na khali zarb ho dildar ki mujh se parda ghair se be-pardagi kya nirali hai ada dildar ki tum se shora-e-watan ko ai 'jalal' tab bhi to hai nahin guftar ki