kyun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar sina-e-shab par chamakta hai samundar raat bhar ek barq-e-zard lahrae to qissa khatm ho kyun darae rakhta hai mujh ko mera ghar raat bhar ab rahega zist mein lamha-ba-lamha ek azab ab khulega ek fusun manzar-ba-manzar raat bhar main hun kya aur kya meri pahchan ab us ke baghair main jise sine mein rakhta hun saja kar raat bhar imtihan hone na hone ka na ho darpesh 'tur' ek sada si gunjti hai mere andar raat bhar