dil soz-e-gham se jalta hai lab par fughan nahin ye aag bhi nai hai ki jis mein dhuan nahin dil mein wo zabt-e-gham hai ki lab par fughan nahin munh mein hai wo zaban ki goya zaban nahin allah-re be-khudi ki mujhe khud shab-e-firaq khulta nahin ki dard kahan hai kahan nahin par bandhne se faeda fasl-e-bahaar mein sayyaad ye qafas hai mera aashiyan nahin urdu zaban ka lutf gaya sath 'dagh' ke 'mahmud' ab wo rang wo tarz-e-bayan nahin