gham-e-furqat saha nahin jata roz mar kar jiya nahin jata khizr se bhi rah-e-mohabbat mein sath mere chala nahin jata ho gai zoaf ki bhi had dil mein dard se bhi utha nahin jata ab ye surat hai mere rone par ghair se bhi hansa nahin jata qabr mein sath hai teri hasrat warna tanha raha nahin jata ab to hum se tere baghair mile khak mein bhi mila nahin jata dil to jata hai shauq mein tere shauq dil se tera nahin jata kitna kam-zarf hai tera paikan khun-e-dil bhi piya nahin jata wo to jate hain dil se ai gham-e-yar tu bhi jata hai ya nahin jata ab to ye haal hai ki un se bhi haal mera suna nahin jata wo umangen nahin magar 'mahmud' takna jhankna nahin jata