tabish-e-dandan se un ke rishta-e-gauhar khula aasman par jalwa-e-rukhsar se akhtar khula samne baithe the wo khalwat thi aur koi na tha aise aalam mein hamare shauq ka daftar khula munkir us but ke jo hain pate hain wo achchhi saza chumte hain ja ke kaba mein wahi patthar khula main shamim-e-nikhat-e-gul ka kahan paun dimagh samne yun to nigahon ke hai ek manzar khula jab chali auron pe kya be-ab ho kar rah gai meri gardan par chali tab tegh ka jauhar khula ek tilism-e-ab-o-gil hi to hai sari zindagi raaz ye koi batae jite ji kis par khula wahshat-e-ahl-e-junun is darja ab madum hai raat-din rahne laga zindan ka ab to dar khula ban gai kunji zamin-e-sher-e-ghaalib kya kahun yani 'mahir' aaj ye qufl-e-sukut aakhar khula