hijr mein nale kiye maine ye nadani hui

hijr mein nale kiye main ne ye nadani hui
wo pareshan kya hue mujh ko pareshani hui

dekh kar husn-e-tasawwur sab ko hairani hui
mat dil ke samne naqqashi hai mani hui

allah allah khud qafas sarsabz hai shadab hai
khatm ashkon se mere rasm-e-nigahbani hui

garche aansu ban gae ulfat mein sar-rashk-e-guhar
girte hi aankhon se ek ek bund nisani hui

nazr-e-atish ho gaya parwana hanste khelte
alwidaa-e-zindagi mein kitni aasani hui

dekh kar gul-kariyan ashkon ki wo hain multafit
kar-amad aaj meri gul-ba-damani hui

wo shab-e-wada achanak ai 'ziya' jab aa gae
mere gham-khane ke har zarre mein tabani hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close