kuchh zindagi mein lutf ka saman nahin raha dil aisa bujh gaya koi arman nahin raha wo josh-e-be-khudi ka hai aalam ki aaj-kal zindan mein hum nahin hain ki zindan nahin raha wo dil hi kya khalish hi na ho jis mein dard ki wo gul hi kya jo zinat-e-daman nahin raha har inqalab waqt ke sanche mein dhal gaya markaz pe apne ab koi insan nahin raha har ek apna khun piye ja raha hai aaj insan is zamane mein insan nahin raha hoti hai ab tarannum-e-dilkash pe wah wah bazm-e-sukhan mein koi sukhan-dan nahin raha laya hai us ko khinch ke shauq-e-adab yahan 'faizi' kabhi bhi dad ka khwahan nahin raha