luta diye the kabhi jo khazane dhundhte hain nae zamane mein kuchh din purane dhundhte hain kabhi kabhi to ye lagta hai main wo lamha hun ki ek zamane se jis ko zamane dhundhte hain kuchh ehtiyat bhi ab ke talab mein rakhna padi sau us ko aur kisi ke bahane dhundhte hain lapak ke aate hain sine ki samt tir aise parind shakh pe jaise thikane dhundhte hain hamari sada-mizaji bhi kya qayamat hai ki ab qafas hi mein hum aashiyane dhundhte hain