dil wo kafir ki sada aish ka saman mange zakhm pa jae to kambakht namak-dan mange lutf aae jo koi sokhta-saman-e-bahaar khaliq-e-rang se phir shoala-e-uryan mange hasrat-e-did sar-e-baam tamasha chahe ishq-e-betab sar-e-tur charaghan mange raat zulfon se kare shokh andheron ka sawal raushni lauh-e-jabin se mah-e-taban mange ek charagh aur sar-e-rah-guzar-e-baad sahi chaar tinkon ke liye kaun gulistan mange kam-nigahi ka taqaza hai ki phir jurat-e-shauq khud teri shokhi-e-andaz se unwan mange dast-e-wahshat ke koi hausle dekhe 'taban' jab bhi mange to usi shokh ka daman mange