dil ye kahta hai ki roya jae aankh ke pyalon ko dhoya jae le uda khwab tu aankhon se koi ab na aaram se soya jae haar jab tut ke bikhre har-su aansuon ko hi piroya jae dhyan ka shahr to khone ka nahin aao is shahar mein khoya jae raat hansti hai to shabnam ban kar daman-e-dil ko bhigoya jae hai ye 'naqqash' numaish kaisi dil to har-gam pe khoya jae