zehn-e-rasa ko auj-e-falak tak udan de jo dil mein jaguzin ho wo tarz-e-bayan de harf-e-sukhan de aisa ki durr-e-yatim ho de tamkanat zaban mein lahje mein shan de arz-o-sama ki wusaten ab mujh pe tang hain mujh ko nai zamin naya aasman de tufan abr-o-baad mein sab hain ghire hue kashti ko de to kis ki khabar baadban de dar pe hain tere khun ke ye tajiran-e-zar mat yun kisi ke waste tu apni jaan de mazi ki saaton ko bulata hun is tarah jaise koi ujad gharon mein azan de ye jism ye bhabhuka qaba tar-tar si 'iqbaal' apne haal pe thoda to dhyan de