dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun pitam ko apne pit sun gulhaar kar rakhun ek naum sun jagaun agar murda dil ke tain ta-hashr yaad-e-haq mane bedar kar rakhun rahta hai dil har ek ka har ek kaam mein ek apna khayal surat-e-parkar kar rakhun dista hai mujh ko yar ka rukhsar-e-gul-izar tis ki khushi sun taba ko gulzar kar rakhun manke ko man ke laun phirane ka jab khayal tasbih badan ki tod ke ek tar kar rakhun pitam ke baj nahin hai mera ikhtiyar kuchh mujh dil ko tis ke amr mein mukhtar kar rakhun be-sar agar achhe to use sar karun ata donon jahan mein sahab-e-asrar kar rakhun andhe ke tain 'alim' laga ishq ka anjan sab wasilan mein wasil-e-didar kar rakhun