suraj dhire dhire pighla phir taron mein dhalne laga mere andar ka sannata jag ke aankhen malne laga sham ne barf pahan rakkhi thi raushniyan bhi thandi thin main is thandak se ghabra kar apni aag mein jalne laga sara mausam badal chuka tha phul bhi the aur aag bhi thi raat ne jab ye swang rachaya chand bhi rup badalne laga aawazon ke ang ang mein dard ke nashtar chubhne lage pyasi aankhon ke sahra mein ret ka jhakkad chalne laga nile surkh safed sunahre ek ek karke dub gae samton ki har pagdandi par kala rang pighalne laga