dilli hui hai viran sune khandar pade hain viran hain mohalle sunsan ghar pade hain jab dekhta hun un ko tab ta-kamar pade hain ye baal mere ji ke pichhe magar pade hain izzat ye pyaadgi ki kam hai ki ghode wale ghode se dekhte hi mujh ko utar pade hain dekha to is chaman mein baad-e-khizan ke hathon ukhde hue zamin se kya kya shajar pade hain qariyat-e-hind ka ab ye rang hai ki koson jawe koi jidhar ko ujde nagar pade hain roya hai is chaman mein kaun aa ke ai saba jo har nakhl-e-gul ke niche lakht-e-jigar pade hain bigda kiye hain hum bhi us naznin se har dam kaam apne rafta rafta yuin sanwar pade hain hain jaan o dil ke khwahan kya sar ke baal us ke jo kuchh idhar pade hain aur kuchh udhar pade hain maqtal mein ye tamasha us ke naya mein dekha idhar ko dhad pade hain udhar ko sar pade hain bulbul ka baghban se kya ab nishan puchhun bairun dar-e-chaman ke yak musht-e-par pade hain shabnam gulab-pashi ghunche ki jald utha la gul bistar-e-ghashi par sab be-khabar pade hain ai 'mushafi' main un ko ab chhodta hun koi wo baad muddaton ke meri nazar pade hain