dilon ke darmiyan be-baat fitna Dal dete hain

dilon ke darmiyan be-baat fitna dal dete hain
ye kaise log hain apnon mein jhagda dal dete hain

tumhein kuchh bhuk ka ehsas insan ki nahin lekin
parindon ke liye hum chhat pe dana dal dete hain

main us dharti ka wasi hun jahan chele qalam kar ke
guru ke charnon mein apna angutha dal dete hain

yaqinan lutf hai koi to sawan ke mahine mein
khabar sawan ki sun kar log jhula dal dete hain

chattanen kat kar wo rasta kaise banaenge
jo thak kar rah mein hathon se tesha dal dete hain

kisi ki bad-nazar ke wo asar mein aa nahin sakte
jo apne ghar ke darwaze pe parda dal dete hain

unhen 'alam' kisi surat mein manzil mil nahin sakti
faqat do gam chal kar hi jo dera dal dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close