duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai roz-e-azal ke nur tera kya khayal hai kya main asir-e-zulm-o-sitam roz-o-shab nahin ai rabb-e-zul-jalal tera kya khayal hai sahil pe la ke jis ne safine jala diye is nakhuda ke pukhta yaqin ka kamal hai tujh se mere charagh ki lo bujh na paegi pagal hawa ke zor teri kya majal hai mausam ki sakhtiyon se bachati rahi mujhe ai man tera khulus samajhna muhaal hai milte nahin hain kyon tere bheje hue khutut hota nahin yaqin mere qasid ki chaal hai 'jawed' bazm-e-sher-o-sukhan mein sunaiye wo ek ghazal jo aap ke fan ka kamal hai