reshmi zulf tumhaari lagi makhmal ki tarah aur ye jism hai khushbu bhara sandal ki tarah aap se duriyan bardasht nahin hoti hain ji mein aata hai lipat kar rahun aanchal ki tarah ek dafa aap ki nazron se milin kya nazren bas gain aap nigahon mein hain kajal ki tarah maut hi maut nazar aa rahi ta-hadd-e-nazar sab adaen hain tumhaari kisi maqtal ki tarah wo nasha hai ki ab 'iqbaal' utarta hi nahin har ghadi samne rahte hain wo botal ki tarah