ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha is gham se hum aur bhi haare wo bhi to majbur raha kal tha ashkon ka aaankhon mein lekin teri yaad na puchh kya kya moti main bhi faraham karne par majbur raha wo aur itna pareshan-khatir rabt-e-ghair ki baat nahin lekin us ke chup rahne se dil ko wahm zarur raha hum aaise nakaam-e-wafa ke ghol mein aakar baithe ho duniya ki taqdir badalna jin ka ek dastur raha husn ki shart-e-wafa jo thahri tesha o sang-e-giran ki baat hum hon ya farhad ho aakhir aashiq to mazdur raha waqt ki baat hai yaad aa jaana lekin us ki baat na puchh yun to lakhon baaten niklin tera hi mazkur raha ai mere khurshid-e-shabi kya wahm-e-tulu-o-ghurub tujhe ek teri gardish aisi thi khana-e-dil be-nur raha ishq bhi mohr-ba-lab guzra hai duniya ki kya jurat thi us ki nichi nazron mein bhi aisa sakht ghurur raha hum se us ka rabt-e-junun tha ek hansi ki baat si thi hum ko aakhir kyun ye khabt-e-sai-e-na-mashkur raha subh se chalte chalte aakhir sham hui aawara-e-dil ab main kis manzil mein pahuncha ab ghar kitni dur raha