dilon mein ghar banana aa gaya hai tumhein milna milana aa gaya hai gae ho sikh munh pe jhut kahna tumhein ab sach chhupana aa gaya hai tumhaare munh mein ye shohrat ki haddi tumhein bhi dum hilana aa gaya hai suna hai sher kahne lag pade ho tumhein misra lagana aa gaya hai purani ek ghazal ka sher padh kar tumhein mahfil uthana aa gaya hai nahin sach ki koi waqat yahan par khudaya kya zamana aa gaya hai jo apne farz se ghafil rahe the unhen ab haq jatana aa gaya hai tumhaari muskurahat kah rahi hai tumhein bhi gham chhupana aa gaya hai uthani aa gai diwar tum ko hamein bhi dar banana aa gaya hai mere lab par dua hai rabb-e-zidni khazana ghaebana aa gaya hai 'razi' ji bhad mein jae mohabbat hamein ab dil jalana aa gaya hai