dilon mein koi hawas koi aarzu bhi nahin main sab luta chuka ab fikr-e-abru bhi nahin zaman-makan se guzar kar hun aalam-e-hu mein safar tamam hua shauq-e-justuju bhi nahin tere khayal ki sar-mastiyan dimagh mein hain ye wo nasha hai ki minnat-kash-e-subu bhi nahin wo band aankhon mein rah rah ke jagmagata hai namaz-e-ishq mein pabandi-e-wuzu bhi nahin lahu badan mein jo hota to kuchh tapakta bhi dahan-e-zakhm ko ab hajat-e-rafu bhi nahin 'shamim' le ke kahan aai zindagi mujh ko ajib shahr hai hamdam kahan adu bhi nahin