dilon se dard dua se asar nikalta hai ye kis bahisht ki jaanib bashar nikalta hai pada hai shahr mein chandi ke bartanon ka riwaj so is azab se ab kuza-gar nikalta hai miyan ye chadar-e-shohrat tum apne pas rakho ki is se panw jo dhanpen to sar nikalta hai khayal-e-gardish-e-dauran ho kya use ki jo shakhs girah mein man ki dua bandh kar nikalta hai main sang-e-mil hun patthar nahin hun raste ka so kyun zamana mujhe raund kar nikalta hai mere sukhan pe tu dad-e-sukhan nahin deta teri taraf mera qarz-e-hunar nikalta hai sukhnwaran-e-qad-awar mein tera qad 'mukhtar' ajab nahin hai jo baalisht-bhar nikalta hai