inhin barbaadiyon ko karobar-e-zindagi kah lo

inhin barbaadiyon ko karobar-e-zindagi kah lo
meri diwangi kya hai zamane ki khushi kah lo

gham-e-jaanan gham-e-duniya na fikr-e-kaif-o-masti hai
main jis haalat mein zinda hun tum us ko khud-kushi kah lo

gunahon ko tumhaare koi nam apna nahin dega
mujhe ab apne afsane ka harf-e-akhiri kah lo

dhadakte rahte hain ek dusre ke dil mein hum donon
hamari itni qurbat ko ba-faiz-e-dushmani kah lo

mila hun ittifaqan hi chala bhi jaunga 'rizwan'
kuredo mat gae waqton ko mujh ko ajnabi kah lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close