raat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan jo aashufta-sari hai muqaddar us mein qaid-e-maqam kahan bhigi raat hai suni ghadiyan ab wo jalwa-e-am tamam bandhan tod ke jaun lekin ai dil ai nakaam kahan ab wo hasrat-e-ruswa ban kar juzw-e-hayat hai barson se jis se wahshat karte the tum ab wo khayal-e-kham kahan zist ki rah mein ab hum be-his tanha sar-ba-gireban hain kuchh aalam ka sath hua tha wo bhi nafarjam kahan karni karte rahen takte hum ne umr ganwai hai khubi-e-qismat dhund ke haari hum aise nakaam kahan apne haal ko jaan ke hum ne faqr ka daman thama hai jin damon ye duniya milti utne hamare dam kahan