din chhupa aur gham ke sae dhale aarzu ke nae charagh jale hum badalte hain rukh hawaon ka aae duniya hamare sath chale lab pe hichki bhi hai tabassum bhi jaane hum kis se mil rahe hain gale dil ke in hauslon ka haal na puchh jo tere daman-e-karam mein pale kaun yaad aa gaya azan ke waqt bujhta jata hai dil charagh jale maslahat sar-nigun khirad khamosh ishq ke aage kis ki dal gale