din dhala sham hui phul kahin lahrae sanp yaadon ke mahakte hue dasne aae wo kadi dhup ke din wo tapish-e-rah-e-wafa wo sawad-e-shab-e-gesu ke ghanere sae daulat-e-tab-e-sukhan-go hai amanat us ki jab teri chashm-e-sukhan-saz talab farmae justuju-e-gham-e-dauran ko khirad nikli thi ki junun ne gham-e-jaanan ke khazine pae sab mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete hain un ka ima bhi ho shamil to maza aa jae kya kahun dil ne kahan saint ke rakkha hai use na kabhi bhulne paun na mujhe yaad aae main ne hafiz ki tarah tai ye kiya hai 'abid' baad-azin mai na khuram be-kaf-e-bazm-arae