lakh ehsas tera kushta-e-haalat rahe tere honton pe shagufta si koi baat rahe tu ne har daur mein ulti hai bisat-e-alam aaj ye aakhiri bazi bhi tere baat rahe ye bhi milna hai ki bas mil ke bichhad jate hain lutf to jab hai ki ek umr mulaqat rahe kaenat un ke liye ek sarab ek khayal jo nigahban-e-haram mahw-e-gham-e-zat rahe yun sar-e-bazm koi naghma-e-jawed suna ki tere baad bhi mahfil mein teri baat rahe kya ajab ek hi manzil ho hamari ai dost rah kat jaegi donon ka agar sat rahe apna shewa ki jalate hain andheron mein charagh un ki sazish ki zamane mein yunhi raat rahe jo lagate rahe har haal pe jaan ki bazi kyun 'jamil' un ke muqaddar mein faqat baat rahe