ye jaur-e-dast-e-zamana kaha kaha na kaha ki dil ka haal kabhi aap ne suna na kaha jo baat tum se thi kahni faqat tumhi se kahi har ek bazm mein ye dil ka majra na kaha ye log rai ka parbat bana rahe yunhi tere rawayye ko hum ne to narawa na kaha khuda ka shukr sitam nagawar bhi na lage khuda ka shukr kabhi tum ko bewafa na kaha use nahin hai shikayat to dusri koi use gila hai ki kyon hasil-e-dua na kaha khalish si zehn mein le kar hamesha phirta raha sitam ko jab bhi bura main ne barmala na kaha 'wali' gharibi mein kam to nahin hai ye eazaz zamin ke bande bashar ko kabhi khuda na kaha