din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh han dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja baglon ko aasman katarte hue bhi dekh hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh dekha na hoga tu ne magar intizar mein chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh tarif sun ke dost se 'alwi' tu khush na ho us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh