har shai mere gham ki tasir nazar aai sham-e-shab-e-furqat bhi dil-gir nazar aai ab daur-e-khizan shayad gulshan mein qarib aaya kuchh aaj saba mujh ko dil-gir nazar aai ye khana-e-dil wo hai mitne se jo banta hai takhrib mein bhi is ke tamir nazar aai ai josh-e-junun tujh par kyunkar na tasadduq hun wo din bhi khuda laya zanjir nazar aai ye dar hai shab-e-wada bahlaunga dil kyunkar aane mein agar un ke takhir nazar aai phir dil mein hui wahshat phir hosh hue ghaeb phir un ki tasawwur mein taswir nazar aai duniya-e-mohabbat ki rasmen bhi nirali hain zillat jise samjhe the tauqir nazar aai wo dekh ke aaina khud apne hue shaida kuchh aisi unhen dilkash taswir nazar aai gham-khwar na tha koi wahshi ka asiri mein tanhai mein ek monis zanjir nazar aai nashad jo ek main hun allah re asar is ka duniya meri nazron mein dil-gir nazar aai wo mai ki rawan nahren wo jam-o-subu dil-kash maikhane mein jannat ki taswir nazar aai sine mein tapan dil hai aankhon se rawan aansu ye khwab-e-mohabbat ki tabir nazar aai hain ishq-o-mohabbat ke ahkaam judagana majbur yahan bilkul taqdir nazar aai