din ke pas kahan jo hum raaton mein mal banate hain bad-haalon ko khwab hi shab bhar ko khush-haal banate hain us ko tasawwur tak lane mein aap hi kho jate hain hum khud hi phans jate hain hum aur khud hi jal banate hain adab ke bazaron mein in sheron ki qimat kya malum hum to khali kari-gar hain hum to mal banate hain mah o sal ke malik lamhon se bhi rahte hain mahrum hum ko dekho lamhon se bhi mah o sal banate hain hijr mein socha tha ab dil ko pakka kar lenge lekin wasl ke wade dil ke aahan ko sayyal banate hain