wo kahte hain uttho sahar ho gai azan ho gai top-sar ho gai gale se milo ab to bahr-e-khuda tadapte mujhe raat bhar ho gai ilahi hua jazb-e-ulfat ko kya meri aah kyun be-asar ho gai zamana to ai jaan bargashta tha tumhaari bhi tirchhi nazar ho gai hue sar katane ko tayyar hum jo wan tegh zeb-e-kamar ho gai dikhai mujhe kis liye sham-e-hijr shab-e-wasl ki kyun sahar ho gai mila wasl mein bhi na 'agha' ko chain shikayat mein shab bhar basar ho gai