pahle jo hum chale to faqat yar tak chale phir fan se le ke hujra-e-fankar tak chale but-khana-e-jahan se inkar hai mujhe lekin wo kya hue the jo inkar tak chale mahw-e-khayal teri tajalli mein kya hue musa bhi koh-e-tur ke asrar tak chale ramz-e-khuda ki ramz bhari raushni miyan main chahta to hun mere kirdar tak chale kuchh rabt husn-e-yar ki taza-gari se ho aankhon se ho ke silsila izhaar tak chale karbal ki khak se jo meri khak ja mile phir khak meri markaz-e-anwar tak chale yaadon se bach nikalne ka rasta nahin mila masjid se le ke husn ke bazar tak chale