din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela ud chala wo ek juda khaka liye sar mein akela subh ka pahla parinda aasman bhar mein akela kaun de aawaz khali raat ke andhe kuen mein kaun utre khwab se mahrum bistar mein akela us ko tanha kar gai karwat koi pichhle pahar ki phir uda bhaga wo sara din nagar bhar mein akela ek maddham aanch si aawaz sargam se alag kuchh rang ek dabta hua sa pure manzar mein akela bolti taswir mein ek naqsh lekin kuchh hata sa ek harf-e-mo'tabar lafzon ke lashkar mein akela jao maujo meri manzil ka pata kya puchhti ho ek jazira dur uftada samundar mein akela jaane kis ehsas ne aage nahin badhne diya tha ab pada hun qaid main raste ke patthar mein akela hu-ba-hu meri tarah chup-chap mujh ko dekhta hai ek larazta khub-surat aks saghar mein akela