pahlu mein baith kar wo pate kya dil to tha hi nahin churaate kya hijr mein gham bhi ek neamat hai ye na hota to aaj khate kya murgh-e-dil hi ka kuchh raha mazkura aur be-par ki wan udate kya rah ki chhed-chhad khub nahin wo bigadta to hum banate kya sadma hasil hua alam lae aur kuche se us ke late kya shaikh-ji kahte hain ghina ko haram un se puchho to hain ye gate kya laghar hi se kafan mein tha bhi main meri mayyat ko wo uthate kya khak us kuche ki na la rakhte to 'sakhi' qabr mein bichhate kya